Blogger vs WordPress – Blogging Shuru Karne Se Pehle Yeh Zaroor Padhein
Blogger vs WordPress – Blogging Shuru Karne Se Pehle Yeh Zaroor Padhein (2026 Guide) Kya haal hai doston! Md Aqeel Ansari bol raha hu. main yeh soch raha tha ki kitne log abhi bhi yahi confusion mein hain – blogging shuru karna hai, lekin Blogger lu ya WordPress? Main khud 2022 mein Blogger pe shuru kiya tha. Bilkul free, Google account se hi sab ho gaya. Phir 2025 mein jab traffic aane laga, customization chahiye thi, tab maine WordPress.org pe shift kiya.aur ek mera website hai wordpress pe .Us shift mein bohot time aur thoda paise lage, lekin ab lagta hai sahi decision tha. Yeh article main bilkul dost ki tarah likh raha hu – simple baat, real experience, koi technical bakwas nahi. Beginner ho ya thoda experience rakhte ho, yeh padhke aap decide kar paoge ki aapke liye kaun better hai. Chalo detail mein jaate hain. Blogger Aur WordPress Mein Sabse Bada Farak Kya Hai? Blogger (Blogspot) Google ka platform hai – bilkul free. Hosting free, subdomain free (yourname.blogspot.com), aur Go...